The 7 Habits of Highly Effective People” ek behtareen self-improvement kitaab hai jo Stephen R. Covey ne likhi hai. Yeh kitab sirf aapki professional zindagi hi nahi, balki aapki personal life ko bhi behtar banane ke tareeqe batati hai. Yeh 7 aadatein aapko leadership, productivity aur self-discipline seekhnay mein madad deti hain.
Kitaab ke chand ahem points:
- Proactive bano: Situations ka behtar hal nikalna seekho.
- End in Mind rakho: Pehlay se apni manzil ka taayun karo.
- Prioritize karo: Zaroori kaamon ko pehlay mukammal karo.
- Win-Win Socho: Aik aisa tareeqa apnao jo sab ke liye faidemand ho.
- Samajhne ki koshish karo: Pehlay samajho phir samjhane ki koshish karo.
- Synergy Create karo: Teamwork aur collaboration ka faida uthao.
- Self-Renewal: Apni roohani, jazbati, zehni aur jismani sehat ka khayal rakho